Hum sab jante hain ki ek bachhe ko janam dena kisi bhi maa ke liye naya janam lene jaisa hota hai. Ek taraf jahan khushiyon ka mahaul hona chahiye, wahin agar laparwahi aur nakli dawaiyon ki wajah se wahan matam chha jaye, toh rooh kaanp uthti hai. Aisa hi ek dil dehlane wala mamla Rajasthan ke Kota se samne aya hai, jahan ek sarkari medical college me delivery ke dauran 5 masoom maon ne apni jaan gawa di. Aur iski wajah koi bimari nahi, balki wo injection tha jo unki jaan bachane ke liye lagaya gaya tha.
Kya Hai Oxytocin Aur Delivery Me Iska Role?
Sabse pehle ye samajhna zaroori hai ki aakhir ye pura mamla kis cheez ke gird ghum raha hai. Jab ek mahila bachhe ko janam deti hai, toh uski body me Oxytocin naam ka ek hormone naturally produce hota hai. Is hormone ka kaam hota hai uterus (garbhashay) me contraction paida karna, jisse bachha asaani se bahar aa sake.
Lekin kai baar body itna oxytocin generate nahi kar paati ki delivery sahi se ho sake. Aise me doctors bahar se Oxytocin ka injection dete hain. Kahani yahan khatam nahi hoti, chahe delivery normal (vaginal birth) ho ya C-section (caesarean), bachha paida hone ke baad bhi uterus me contraction hona behad zaroori hai. Agar aisa nahi hoga, toh delivery ke baad jo bleeding (khoon ka behna) shuru hoti hai, wo rukegi nahi. Oxytocin wahan par bleeding ko rokne ka sabse bada hathiyar hota hai.
Kota Me Kya Hua? 'Dawa' Ki Jagah Tha 'Paani'
Kota ke New Medical Hospital me jin 5 mahilon ki delivery C-section se hui thi, unhe delivery ke baad bleeding rokne ke liye Oxytocin ka injection lagaya gaya. Lekin afsos, unki bleeding nahi ruki. Khoon behta raha, behta raha aur dheere-dheere unke sharir ke baaki organs ne kaam karna band kar diya, jisse unki maut ho gayi.
Jab is poore mamle ki jaanch baithai gayi aur us injection ka sample test kiya gaya, toh jo sach samne aya wo behad khofnak tha. Un mahilon ko jo injection lagaya gaya tha, usme Oxytocin dawa thi hi nahi, balki usme sirf paani bhara hua tha. Sochiye, jahan unhe ek life-saving drug ki zaroori thi, wahan unke jism me sirf nakli paani daal diya gaya. Is injection ka brand name 'TOCIN' bataya ja raha hai, jise Punjab ki Jackson Laboratories naam ki company ne supply kiya tha. Rajasthan sarkar ne is par turant ban laga diya hai aur jaanch chal rahi hai.
Hamari Rai (Opinion): Ye Laparwahi Nahi, Seedha Murder Hai!
"Khaane-peene me milawat ho toh insaan dheere-dheere beemar padta hai, lekin jab emergency me di jaane wali life-saving dawaiyon me milawat ho ya wo nakli hon, toh wo maut ka seedha nyohta hoti hain."
Hamare desh me medical system ko bhagwan ka darja diya jata hai, lekin jab is tarah ke scams samne aate hain, toh aam aadmi ka bharosa toot jata hai. 5 maon ki maut sirf ek 'accident' ya 'laparwahi' nahi hai, ye seedhe taur par ek sansthaaghat hatya (institutional murder) hai. Kisi ne chand paison ke munafe ke liye ya system ki ghatiya checking ki wajah se un maon ki zindagi daon par laga di, jinke bachhe ab bina maa ke is duniya me palenge.
Sarkar ko chahiye ki sirf ban lagane se kaam nahi chalega. Aisi companies aur hospitals ke un zimmedar logon par aisi kadi karwahi honi chahiye jo aage chalkar ek misaal bane. Dawaiyon ka procurement aur quality check itna tight hona chahiye ki hospital ke andar ek bhi nakli ampulet na pahunch sake.
Aapki Kya Rai Hai?
Kya aapko lagta hai ki aise mamlon me sirf license cancel karna kaafi hai, ya fir in bhrasht logon ko seedha phaansi ya umrakaid ki saza milni chahiye? Apne vichar comment section me zaroori batayein aur is awaz ko aage badhayein taaki fir kisi masoom ki jaan is bhrashtachar ki bhet na chadhe.


